Friday, 30 May 2014

kya karein?

Na jaane teri fikrr kyun hone lagi hai,
Tera zikrr bhi hota hai toh tera itrr aata hai mujhe ।।

Na jaane teri fikrr kyun hone lagi hai,
Barish mei tujhe jhoomte dekhta hun geeli patiyon mei,
Suraj mei hastei dekhta hun
tez kirnon mei
Phir bhi fikrr hoti hai,
Ki kya tujhe bhi fikrr hoti hai।।

Na jaane teri fikrr kyun hone lagi hai,
Kahin tujhe bhool na jaun
isliye saans leta hun,
Kahin tujhe kho na dun
isliye jee leta hun।।

Tu mile
Tab dilo chein aaye ga.

No comments:

Post a Comment