Friday, 30 May 2014

kya karein?

Na jaane teri fikrr kyun hone lagi hai,
Tera zikrr bhi hota hai toh tera itrr aata hai mujhe ।।

Na jaane teri fikrr kyun hone lagi hai,
Barish mei tujhe jhoomte dekhta hun geeli patiyon mei,
Suraj mei hastei dekhta hun
tez kirnon mei
Phir bhi fikrr hoti hai,
Ki kya tujhe bhi fikrr hoti hai।।

Na jaane teri fikrr kyun hone lagi hai,
Kahin tujhe bhool na jaun
isliye saans leta hun,
Kahin tujhe kho na dun
isliye jee leta hun।।

Tu mile
Tab dilo chein aaye ga.

Saturday, 17 May 2014

Shukriya

Shukriya iss aawaz ke liye
shukriya iss ehsaas ke liye.
Shukriya subha aur raat ke liye
shukriya iss pyaari baat ke liye.
Lakh lakh shukriya tab ke liye jab mujhe saath ho tera
shukriya uss pal ke liye jab haathon me hath ho tera.
Shukriya jagaane ke liye
raat mei sulaane ke liye.
Shukriya रैन mei चैन ke liye
Ek pyaari si behn ke liye.
Shukriya maa baap ke liye
Har waqt badalte haalat ke liye.
Shukriya aankho ke bheege pun ko sapne banaane ke liye.
Iss vajood ke liye
Shukriya soyeh se mujhe jagaane ke liye.
Shukriya iss hassi ke liye aur chup kr meri naadani pr muskaane ke liye.
Shukriya meri mai ko hum banaane ke liye
unn palon ke liye jinme tujhko dhoondta hun mai.
Shukriya door kr ke
yun mil jaane ke liye.
Aur haan
Shukriya mujhe banaane ke liye.



Wednesday, 7 May 2014

Bs ek choti si baat

Ek choti si baat thi...
Ki tum jo ab ye kr gaye ho...
Majboor hun mai...
Ek choti si baat thi ...
Ki itni shiddat jo tumne ki...
Apni har koshish choti lagti hai...
Ki tumne bataya namumkin nhi hai kuch bhi..
Honsla milta hai
ki ab jo chal diya hun iss raste par manzil tak phnch hi jaunga...

Ki tumne jo bhi kiya...
Shukriya...