Saturday, 6 December 2014

Let's Fall Down

I walk, knowing there are thorns on the way
i walk.
I walk, knowing there are battles waiting for me
i walk.
I walk, knowing that pits are dug for me
i walk.
I walk, knowing that there is evil waiting for me out there
i walk.

I walk because once you said that you'll walk by my side and walk you have.
I would pick thorns one by one, take on battles ton by ton, jump over the pits
and kick evils mum only to walk by your side for eternity.

When i fall, you pick me up.
Sometimes it's hard sometimes it rolls
whatever it may be
You walk by my side. You walk, I walk.

Now i have learned to fall down. Oh Yes! it's an art, to fall down and not fall down.
Fall you must so you know where is the next new fall. So you can recognize the fall where you fell.

After all, Tell me one thing Bruce 'Why do we fall ??' ,
So that we can learn to pick Our selves Up."

let's fall Down
I'll let you pick me up with my hands.
Let's All fall Down. 

Sunday, 1 June 2014

Jo bhi de tu

Ye kaisa darde dosh de rhe hain aap..
kya humne aapka ek muddat tak intezaar nhi kiya ..
Kher jo bhi de rhe hain hum tofa samjh kr
usse bhi galle se lagate hain..!
Khuda hafiz..

Friday, 30 May 2014

kya karein?

Na jaane teri fikrr kyun hone lagi hai,
Tera zikrr bhi hota hai toh tera itrr aata hai mujhe ।।

Na jaane teri fikrr kyun hone lagi hai,
Barish mei tujhe jhoomte dekhta hun geeli patiyon mei,
Suraj mei hastei dekhta hun
tez kirnon mei
Phir bhi fikrr hoti hai,
Ki kya tujhe bhi fikrr hoti hai।।

Na jaane teri fikrr kyun hone lagi hai,
Kahin tujhe bhool na jaun
isliye saans leta hun,
Kahin tujhe kho na dun
isliye jee leta hun।।

Tu mile
Tab dilo chein aaye ga.

Saturday, 17 May 2014

Shukriya

Shukriya iss aawaz ke liye
shukriya iss ehsaas ke liye.
Shukriya subha aur raat ke liye
shukriya iss pyaari baat ke liye.
Lakh lakh shukriya tab ke liye jab mujhe saath ho tera
shukriya uss pal ke liye jab haathon me hath ho tera.
Shukriya jagaane ke liye
raat mei sulaane ke liye.
Shukriya रैन mei चैन ke liye
Ek pyaari si behn ke liye.
Shukriya maa baap ke liye
Har waqt badalte haalat ke liye.
Shukriya aankho ke bheege pun ko sapne banaane ke liye.
Iss vajood ke liye
Shukriya soyeh se mujhe jagaane ke liye.
Shukriya iss hassi ke liye aur chup kr meri naadani pr muskaane ke liye.
Shukriya meri mai ko hum banaane ke liye
unn palon ke liye jinme tujhko dhoondta hun mai.
Shukriya door kr ke
yun mil jaane ke liye.
Aur haan
Shukriya mujhe banaane ke liye.



Wednesday, 7 May 2014

Bs ek choti si baat

Ek choti si baat thi...
Ki tum jo ab ye kr gaye ho...
Majboor hun mai...
Ek choti si baat thi ...
Ki itni shiddat jo tumne ki...
Apni har koshish choti lagti hai...
Ki tumne bataya namumkin nhi hai kuch bhi..
Honsla milta hai
ki ab jo chal diya hun iss raste par manzil tak phnch hi jaunga...

Ki tumne jo bhi kiya...
Shukriya...



Tuesday, 15 April 2014

Ye Jo Tune Kiya

Teri ek jhalak hi toh mangi thi ..
aisa kaunsa gunah kiya 
Jo tune sazaye vireh diya....
Tera hasna hi toh manga tha..
aisa kaunsa gunah kiya 
jo tumne mujhe ek zindagi gam diya....
Teri awaz hi ko toh dhadkan banaya tha
kya gunah kiya tha maine
jo tunje mujhse meri nabzz hi le li....
Maine toh jab bhi dua ki teri khushi hi meri arzi thi 
aur mujhe gam mile ye uss khuda ki marzi thi....
Jo maine kiya tujhe nazar me liye kiya
Jo tune Kiya..
iss matlabi duniya ko dekh kiya....
agar tha tera dil bhi yahi..
toh kyon mujhe majboor kiya....
kher jo bhi kiya..
mai khush hun ki tu khush hai
sachchi mai hun khush ki tu khush hai..
mai khush hun ki meri dua kabool hui....
                                          
                                              - Samit Gambhir 





Sunday, 6 April 2014

Teri wo muskaan
tere wo ishaare
teri ek nazar ko tarasta hai dil....

Jab tere gale lagta
apne sare gam bhula ke
sirf tujhse milta..
tujhme kho jaata....

Kya karun aisa jiss se
khush ho tu
kya karun aisa jiss se
musskaye tu....

Ab toh ye aasman bhi jhoota lagta hai
jaise tere vade..
bharra ho issme rang kissi ne
jaisi teri yaadein....

Ye jaan ke bhi ki tu nhi bolegi
dil kyon rota hai..
jo nhi hai tu sath mere
pyaar shayad aisa hi hota hai....

Mai yahan rota hun
kya tu bhi rota hai..
meri jhalak hai kya tujhko bhi pyaari
ya thi vo sirf baatein saari....

Ab kab hoga tujhse milan
mai toh uss Khuda se bhi Khuda ke nhi
maangun tere darshan....

Ab bas hua
sabar ka bandh ab khatam hua
ek aur pal
ek pal aur nhi...
Tu meri aur
Aur mai kissi aur ka nhi....

Ab toh palat ye takdeer ae Khuda
mila uss se jo hai mer Khuda....

Ki mera rom rom
uski saans ko tarse...
ye intezar ab aansun banke barse.....